Sunday, March 3, 2019

If you want to make channel on YouTube? Do this work first

Namaskar dosto

Is Blog me Hum baat karenge Youtube channel banane se pehle kya dhyaan rakhna chaiye ke bare.

To  Dosto YouTube online kamaye ka sabse behatar jariya hi nahin hai, balki isne logon ko apna Creativity or Talent logo ko dikahne or apni pehchan banane ke lie ek platform bhi diya hai.

kayi log hain, jo YouTube ke jariye har mahine lakhon rupaye kamaate hain.

kuch ne to ise hi apna full time Carrier bana diya hai.

Agar aap bhi Youtube par apni Creativity or Talent dikhana chaahate hain aur YouTube ke jariye Earing karna chaahate hain, 

to Mein aapko bata raha hu kaise aap YouTube channel start kar sakte ho aur channel kholne se pehle kya taiyaaree honee chahiye. 

To friends chaliye jante he YouTube channel start karne se pehle ye kuch  tips ke baare me.

YouTube channel par apni Social Media profile ko shaamil kiya ja sakata hai. isaka faayda hai ki jab bhi koyi vyakti aapke channel par jayega to usey vahaan aapke facebook aur twitter account bhi milenge.

isse bharosemand channel banaane mein madad mil saktee hai.

Agar aapka YouTube channel nahin hai to youtube.com/create_channel par jaakar apna account bana le.

Dosto YouTube channel kaise banayi jaye uski link mene description me di he to aap us link ko open karke dekh sakte ho.

To dosto first tips ye he ki YouTube channel start karne se pehle app karle thodi research.

Apne ye to soch liya hai ki ek YouTube channel banaana hai to pehle tay kar len ki channel kis topic par hoga.

Agar aap aise hi YouTube channel bana lenge to iska aapko jeero faayda milega.

Isliye pehle apna topic select kare, phir poora research karen aur planning ke saath apna channel shuroo karen.

Second tips jo hai vo he video ke content ke baare me

Sabse pehle YouTube par kisi ka copyright content upload karne se bache.

or aapke video ka content original ho aur video ki quality achhi honi chahiye, tabhi koyi aapke channel ke video ko dekhana pasand karega. 

Aapne video ka title rakhne ke liye simple words ka use kare.

isse viewers ko title samjne me problem na ho.

Or aise content video me na rakhe jisse YouTube ko aapka channel hi block karna pade.

Saath hi video mein sexual content ya hacking trick jaise video upload na kare kyunki YouTube aise video allowed nahi karta or isse YouTube aapka channel permanently block kar dega.

Third tips jo hai vo he video upload karte waqt usme tags kaise rakhe

Keywords selection aapke channel ke video ko hit aur floop karne mein sabse important hai. 

Isliye jo keywords chal rahe hain, unke hisab se hi achchha content banaane ki koshish karen.

Video banaane se pehle thoda research jaroor karen aur un topic ko select kare jin par jyaada videos na bane ho.

Isse dosto aapka video jyada viral ho sakta he or views or subscribers bhi badh sakte he.

To dosto I Hope ki aap samaj gaye honge ki YouTube channel start karne se pehle kya dhyan rakhna chahiye.

Agar apko mera ye blogg acha laga ho to please is ko Share kijiye or Comment bhi kijiye.

1 comment:

  1. [...]check below, are some totally unrelated websites to ours, however, they are most trustworthy sources that we use[...]… read review

    ReplyDelete