Tuesday, March 26, 2019

Best way to add Description & Tags in Youtube Videos


YouTube Videos Me Description Aur Tags Daalne Ka Best Tarika

Hi Friends ! Yah Post YouTube Video Optimization yani YouTube SEO se related hai. Agar aap YouTube par videos upload karte hain toh aapke liye bahut hi helpful post hai yah. Iss post me mai btaunga ki YouTube videos ke Description aur Tags ko thik tarike se kaise likhe. Video ka title, description aur Tags/Keywords hi aapke video ko viral karne me help karte hain.

Video ka title aur description se hi viewers yah decide karte hain ki yah video dekhne layak hai ya nahi. Aur YouTube search me aapke videos ko lane ke liye YouTube bhi Title, Description aur Tags ko hi priority (प्राथमिकता) deta hai. Aur YouTube aapke videos ke content ko samjhta hai ki aapke video me kya hai .
Toh ab aap soch rahe honge ki YouTube video ke description me kya dale? Toh chaliye mai aapko simple steps me batata hun.





Sabse pehle, Title Likhne ke baad aap description me apne video ke bare me short me explain kar dijiye. Jaise ki agar aap kisi product ka review karte ho toh aap likh sakte ho:-

“ This video is about this particular product review. This is unbiased review. I am totally satisfied with this product. This product has lots of great specification. ETC”.

Maine this product likha hua hai aapko uske jagah par product ka naam likhna hai .

Starting ke 200 Words hi Search results me show karte hain. Aur viewers description ko ek najar dekhte huye hi video ko dekhne ke liye click karta hai. Isliye description likhte samay yah dhyan rakhe ki aap sirf video ke content ko hi describe kar rahe hain. Kyuki faltu ki chize aap niche bhi likh sakte hain .

Bahut se log sirf video ka title likhte hai aur video ko publish kar dete hain aur fir dekhte hain ki unke videos par expected views nahi aate hain. Toh uska reason yahi hai.




Aap description me apne bare me extra information bhi add kar sakte hain. Jaise previous video ka link, next video ka link, apne bare me kuch lines aap likh sakte hain. Aap apne website ka bhi link de sakte hain. Kisi dusre friend YouTuber ka Channel link bhi de sakte hain.

Bahut se YouTubers ka yah manna hai ki Description me bahut sare  Keywords daal dene se views jyada aane lagte hain. Jo ki bilkul hi galat hai.

Aisa karne se YouTube community aur Guidelines isko penalize kar deta hai aur search result me jaldi show nahi karwata. Aur khoob saare keywords se veiwers bhi irritate ho jate hain. Yah aapke YouTube account par negative effect daalta hai. Toh aap aisa bilkul mat kijiye. Description ka sahi use kijiye .  

Agar aapko Tags/Keywords daalna hi hai toh aap tags ke field me tags/keywords ko daaliye. Aur tags ko daalte samay aapko inn baato ka bhi dhyan rakhna jaruri hai.




Sabse pehle toh aap apne video ke category ko define kijiye. Fir aapka video jis bhi chiz ke bare me hai aap usko tags me daaliye.

For Example: Agar aapka video, Video SEO tutorial ke bare me hai toh aap Tags daal sakte hain:
“Tutorial, How to, meta data of video, Optimization, Description” Aapko sentence me Tags daalne ki  koi jarurat nahi hai. Aap sirf simple whi tags daaliye jo aapke videos ko show karta hai. Kyuki YouTube ka Search Algorithm isi base par kaam karta hai.

Agar aap khoob saare keywords use karte hain toh YouTube bhi confuse ho jata hai aur aapke video ko ache se search results me show nahi karta hai .
Long tail Keyword ko use karne ke liye aap video ka title use kar sakte hain. Tags me sirf aur sirf video se hi related Tags/Keywords dale. Aap jayda views ke chakkar me idhar udhar ke tags mat dale. Isse bhi aapke videos par negative effect padta hai.

तो दोस्तों YouTube SEO में इतना ही. अगर आपको YouTube से related और कोई भी जानकारी चाहिए तो आप कमेंट कर सकते हैं. और इस ब्लॉग को भी याद रखिये.

और दोस्तों Please मेरे YouTube Channel "Nikunj Seju" को Subscribe कीजिये निचे दिए गए लिंक पर क्लिक करके ताकि आप मेरे नई videos देख पाए. क्यों की में ऐसे ही Topic पर video बनाते रहता हु.

https://www.youtube.com/c/JinuEntertainment?sub_confirmation=1

4 comments:

  1. Thanks for posting this info. I just want to let you know that I just check out your site and I find it very interesting and informative. I can't wait to read lots of your posts. https://hackernoon.com/15-ways-to-increase-youtube-subscribers-organically-in-2020-7g1o32sv

    ReplyDelete
  2. I am glad you take pride in what you write. This makes you stand way out from many other writers that push poorly written content. https://www.buyyoutubesubscribers.in/

    ReplyDelete
  3. Your work is truly appreciated round the clock and the globe. It is incredibly a comprehensive and helpful blog. https://buyyoutubesubscriberscheapindia.wordpress.com/

    ReplyDelete