Saturday, February 23, 2019

Why Google+ is going to shutdown? and How to Backup Data from Google+

Google ne apne Social media platforms Google plus ko lekar ek bada faisla kiya hai. Google ne ailaan kiya hai ki voh Google plus ko 2 April 2019 ko hamesha ke liye band kar dega. aise mein iske Users Social media par kayi tarah ki baaten kar rahe hain. Google ne Google plus ko band karne ki ghoshana beete saal December maheene mein ki thi.

Is baare mein Google ka kahna hai ki Google plus App ka istemaal pehle se kaafi kum ho gaya hai. iske alaava Google ne kaha ki kam upayog aur suraksha kaaranon ki vajah se is Aap ko band kiya ja raha hai. Google ne ye bhi kaha ki abhi tak jitane bhi Users ne Google plus ka istemaal kiya hum unka dhanyavaad karte hain.

Google apne Social media platforms Google plus ko 2 April 2019 ko band kar dega aise mein iske Data ko save karne ko lekar ek nayi behas chhid gayi hai. ise lekar Social media par kayi tarah ke khabaren dikhayi ja rahi hain jisme kaha ja raha hai ki aapka saara Data Google delete kar dega. Haalaki is tarah ki khabaren sirf afvaah hain kyonki Google ne Google plus Users ko apana Data save karne ke liye abhi lagabhag 3 maheene ka samay diya hai.

Vaheen, Google ka ye bhi kehna hai ki agar ve Data save nahin karte to vah delete ho jayenge. Google ne pooree tarah se saaf kar diya hai ki 4 February 2019 se koyi bhi naya Users Google plus par naya account nahi bana sakega aur na hee kisee bhi tarah ki Community banayi ja sakegi.

Aise save karen Google plus ka Data

Sab se pehle aapko apni gmail id se login karna hoga

Uske baad Google Account me jaye.

Google Account me jane ke baad left side me Data & personalization ka option he uspe click kijiye.

Click karne ke baad scroll karke niche aaye.

Vahi niche ki side me Download your Data ke option he uspe click kijiye.

Select none kardijiye baad me jitne app ka backup lena he usko hi select kijiye.

Uske baad vaha per app ki list hogi usme se aap google+ select kijiye.

Select karne ke baad niche Next per click Kijiye.

Next per click karne ke baad Niche Create Archive per click kijiye.

Download process hoga aur baad me aap Download per click karke aap ka data download kar sakte ho.

Why Google+ is going to shutdown? | Google+ Data Backup
https://www.youtube.com/watch?v=bBNrDo88KzU

No comments:

Post a Comment